Flying sikh , Milkha Singh zindagi ka race corona ke Daur mein har gaye.
Report : Md.Shamim Hossain
Milkha Singh ke liye 6 September 1960 manhoos din sabit hua jab woh 0.01 second ki wajah se mulk ke liye koi medal hasil nahin kar sake .
Rome Olympic mein unhone 400 metre relay Daud mein hissa liya lekin 0.01 ki waqt ko taye na kar payen aur woh chauthe (4th position) mukam per chale aaye .
2020 March se 2021 June ke dauran corona virus se lakhon log Puri duniya mein mare Gaye. is pandemic ne aam aur khaas kisi Ko nahin Buxa Garib Amir sab iske zad mein aaye is bemari ne Naamwar Sakshitoo ko bhi nahin Buxa.
in lakhon logon mein Milkha Singh ka bhi Naam jud Gaya .Milkha Singh mulk ke woh pahle athlete the jinho ne pahli bar mulk ke liye field and track mein gold medal Tokyo Asian games mein jite .
.Bachpan mein hi unho ne Apne maa baap Ko kho Diya. 1947 azadi ke bad Jo fasad hue use fasad ke zad mein inke Walden mare gaye. iske bad wah Punjab se Delhi a gaye aur yahan ke Ho ke rahega.
20 November 1959 ko Punjab ke Govindpur mein unki paidaish Hui. Jo ab Pakistan ka hissa hai .1951 mein Milkha EME Hyderabad mein Shamil hue. 1953 mein unho ne yahan se tarbiyat hasil ki. 1956 mein Melbourne Olympic mein 27 sal ki umra mein unhone hissa liya. 1958 mein unhone 200 aur 400 metre relay Daud mein Tokyo Asian game mein Bharat ke liye pahla gold medal hasil Kiya. Pakistani Khiladi Abdul khaliq ko unho ne shikasat dekar yah izaz hasil kiya tha. 200 metre sprint athlete mein Jeet kar unho ne Hindustan ka naam roshan kar Diya kyunki yeh pahla mauka tha jab kisi Bhartiya Khiladi ne track & field mein gold medal hasil kiya tha, common wealth games wales mein 400 metre Daud mein hissa liya.
200 aur 4x400 metre door mein unho ne national games Cuttack mein hissa liya aur gold medal hasil Kiya .1960 mein Rome Olympic mein Chand faslon ki duri taye na kar pane ki wajah se woh medal se mahroom rah gaye jis ka unhe ta umr afsoos raha. is tarah woh Olympic mein bronze medal hasil Na kar sake kyunki 400 metre ke is Daur mein Milkha chautha number per aaye.
Darasal dor ke dauran unhone ek bar piche mud kar dekha tha jiske wajah se woh third position hasil Na kar sake. in ki raftar sust ho gai aur woh medal nahi jeet paye.
Yeh inki jindagi ka sabse afsos nak din tha is dor mein agar cha woh koi medal nahin Jeet paye lekin ek Ezaz un ho ne apne naam kiya . Pakistan ke president General Ayub Khan ne unhe "Flying Sikh " ke khetab se nawaza . Jo marte dam Tak unke sath raha.
December 1960 mein ek race mein unho ne Pakistani athlete Abdul khaliq ko shikast di thi. yeh race 200 metre ki thi .woh itni teji se dore ke bijli ki tarah apne hadf ko chand second mein pura kar liya.
pakistan ke general ne un ko na sirf 'Flying sikh ' ke kitab se nawaza balke unhe Pakistan aakar rahane ki Dawat bhi di.jisse unho ne manjur nahin kiya aur aakhiri dam Tak woh Hindustan ke hokar rah Gaye.
1962 Jakarta Asian games mein Milkha Singh ne 400 metre aur 400 x 4 relay mein dor kar mulk ke liye gold medal hasil Kiya. 1963 mein unhone jis ladki se shaadi ki wah bhi Indian volleyball ki sabiq capt thi .unka Naam tha Nirmal shahini . Bade afsos ki baat hai ki Milkha ki maut se 5 din kabal jab Milkha Singh jindagi aur maut se lad rahe the to unki wife jindagi se har gai .woh bhi corona ki shikar ho chuki thi . sans ki taklif ki vajah se unki maut Ho gai . idhar Milkha is layak nahin the ki iski jankari di jaaye ki unky shareek-e-hayat ab is duniya mein nahin rahi. 91 sal ki umr mein Milkha bhi aakhir kar is duniya se 18 June 2021 ko rukhsat hogaye .
1964 Tokyo Olympic mein unhone 400 x4 metre relay mein chautha mukam hasil Kiya. jab ke isi sal Kolkata mein hone wale National Games mein unhone silver medal hasil Kiya the. 1998 ke bad takriban 52 sal ke intezar ke bad India ne commonwealth 2010 mein gold medal discuss n throw mein jita . Milkha Singh ke bad Krishna puniya ne Jo discus throw mein gold hasil kiya. unho ne 52 sal bad gold medal mulk ke liye jita jo ek lambe arse ka record bana. National Khel mein. is tarah se Milkha Singh ka yeh record raha jis ko todne mein Hindustan ko 52 sal lag Gaye .
1964 Tokyo mein unhone 400 metre relay mein chautha mukam hasil Kiya .
2001 mein unhe Arjun award se Nawaza Gaya lekin unho ne is award ko isliye qabul nahin kiya. Is ki wajah intejaamia ne bahut der kar di yeh title dene mein. narajgi ki wajah se unho ne is award ko qabul nahin kiya. jab ke Bharat Sarkar ne 1959 mein unhe padmashree award se navazah
2016 mein lifetime achievement award Times of India sports award Carl Lewis ke hathon diya gaya.
2013 main in pe ek film banai gai Jo hit rahi
is film mein unke Kedar ko bakhubi Farhan Akhtar ne nibhaya. is biopic film ka naam tha 'bhaag Milkha bhaag '
The race of my life, Naam ki ek autobiography Milkha Singh aur unki Beti Sonia ne likhi thi.is autobiography ki madad se is film ko banai gai thi. Jo superhit Hui .Parsoon Joshi is ke director the
2021 mein ek bar wah bimar pade, ghar laute lekin dobara jab woh bimar pade to In par corona virus ka hamla ho chuka tha, sans Lene mein pareshani ho rahi thi aakhirkar 18 June 2021 ko 11:30 baje woh ham sab Ko chhod kar is duniya se chale gaye Jahan se koi laut kar wapas nahin aata hai. chahe woh apni jindagi mein Kitna hi Tej kyon Na daudta Ho .
Pashmanda mein ek beta aur teen beti Hain .
beta jeev Milkha Singh ek golfer hai .
Mulk ke bade bade hastiyon ne aur khiladiyon ne inki maut par tajiyati paigam bheje aur afsos ka izhaar Kiya . jismein indian president kovind ,PM Narendra Modi sports minister , W.B. ki CM Mamata Banerjee, cricket ke Khiladi Virat Kohli .sports ki jaani Mani hastiya PT Usha Mary Kom ne tajiyat ki. Farhan Akhtar afsos ka izhaar karte hue kaha ki mulk ne ek sports legend ko kho diya. Jis ne Khel ke maidan mein un mit chap chori .
unki maut per Pakistan se bhi tajiyati paigam mosool huye. Jahan woh paida hue the, Govindpur (Punjab )wahan ke logon ne unhe yaad kiya aur apni Aankhen Nam ki .
Hindustan ke is Maya naaz Khiladi ne Khel ki duniya mein India ko ek Naya pahchan Diya. Kai World record banaye . National record 30 sal un ke naam raha.
Milkha Singh ne apni kitab mein ek jagah likha hai ke
" hard work imandari se tahiya kar ke Karen , apne ghutne se upar uthana hai aur Aasman ko chuna hai".
.Aakhir kar Chandigarh PGI Hospital mein zindagi aur maut se larte hue. 18 June 2021 ko ham sab se juda hogaye. is duniya se bahut aage nikal Gaya Jahan se koi laut kar dobara nahin aata hai , chahe woh apni zindagi mein Kitna hi tez kuin na dorta ho.