Random Posts

Header Ads

student ‎credit ‎card ‎for ‎ ‎West ‎Bengal ‎student ‎10 ‏lakh ‎rupay ‎each ‎10th ‎to ‎research ‎scholars approved by ‎cabinet

Student credit card launched for academic or professional students 10 lakh rupay repayment  in 15 years approved by W.B.Govt. cabinet

Report : Md.Shamim Hossain 
Kolkata, 25 th June 
Aaj bengal ki chief minister mamta banerjee  ne Nabanoo mein cabinet meeting ke duaran ek bara elan karte hue kaha ke ab riyasat ke talib ilmo ko taleemi kharch ke bare mein nahi sochna hoga kuin ki riyasti hukomat on line dus lakh rupaye credit card ke jariye de gi. jo mulk ke kisi bhi state mein ja kar taleem hasil kar sakte hain sirf yehi nahi doctor,post graduate,research scholars students ke liye bhi is credit card ke zariye apni talimi par kharch kar sakte hian.
Is trah class tenth, twelve th, graduate aur post graduate,medical, engineering , research scholars students is ka benefit utha sakte h. Professional course karne  wale students ko bhi is ka faida mile ga.Is ke liye yeh zarori hai ke talib ilm ki umr 40 saal se jayed na ho aur kam az kam Dus saal se woh Bengal ke kisi district ka rahne wala ho . Is ke liye granter ki zaroorat nahi hai kuin ki state govt khud in talib ilmo ka granter hogi. Dosri aham baat unhone ye kaha ke yeh raqam student , mulazmat hasil karne ke ek saal baad woh credit card se liye hue raqm ko 15 saal mein soft loan ki trah raqm bank ko wafas karen gaye. Is ka faiyeda academic aur professional student le sakte jo mulk ya riyasat se bahar ja kar taleem hasil karna chahte h
CM banerjee ne kaha ke 30 June ko officialy new student credit card ko launce karen gi.Hukumat ka qadam qabile tareef h.dekhna yeh hain 20 se 25 lakh student is scheme ka faida kaise utha sakte hai aur katne percent student ko yeh loan mile gi aur unhe loan wafas karte waqt kitna percent loan chukana hoga. Jahir si baat hai ke merit hasil karne wale students hi is loan ka haqdar honge.
Wajah ho ke taqreban 12 lakh 10th std ke talib ilm aur 9.5 lakh HS ke student ke elawah graduate aur post graduate , medical , engineering , research scholars ke elawa professional studen ki tadad kam o bes 10۔lakh hogi.
Bengal Govt is scheme se qabal larkiyoo ke liye kanya sree, minority students ke aoiko sree aur schedule caste students ke liye shikha sree scheme ke zariya in ki taleem par bhi salana kharch karti h
Is ke elawa minorities community ko educational laon WBMFDC ke janib se di jati ta ke unki taleem beech mein hi na rok jaye. New student credit card se talib ilm age parhai jari rakh paye gay.Bengal Govt ki yeh pehal qable staiash h. Mamata ke is elan se yaqinan un talib ilmo ke under khoshi door gai hogi jo rupay na hone ki wajah se aala taleem hasil karne se mahroom rah jate the aur is trah un ka khob adhura rah jata tha.ab sayed un ki Uran mukammil ho paye۔